Skip to main content

Posts

Showing posts from July 6, 2008

Haseen Chaand

A double treat for my readers - since I was inactive for long, I thought of putting up two pieces at the same time. Heavy dose for you guys?? :P Phool khilte hain baharon mein gar jo aate ho tum Jo na bhi aawo toh mitte rahe ye gul phir bhi, Saansein meri ruk-ruk ke chalti hain jo na ho tum Aur jo ho bhi tum to rukti nahi kambhakt phir bhi, Zinda hua raat ki chaa gaya taaron ka jaal Saba ki yaad mein rota hai ye dil phir bhi, Aayi hai maut bankar abki saba ki khusboo Na bhoolega dil sab me uge haseen chaand ko phir bhi.

Chand umeedein chand fasaane

Avid readers of Urdu poetry would definitely find shades of Firakh Gorakhpuri in this piece (specially in the last couplet). The title is borrowed from Mehndi Hassan's famous ghazal - bhooli beesri chand umeedein, chand fasaane yaad aaye . Bewafa jo hue tum to koi shikwa bhi nahi Mit gayi ho ranjishein saari kuch aisa bhi nahi, Dard to hai dil mein ki tum chodh gaye mujhko Rok loon tere qadmon ko, dard itna bhi nahi, Ab tammanna bhi nahi, na koi khwaeish hi rahi Shab-e-firaaq magar shaam-e-besahar ho, aisa bhi nahi, Chand umeedein, chand fasaane, sab adhoore hi rahe Niyat-e-mohabbat to paak thi, aadmi wo magar achcha bhi nahi.